Tuesday, May 15, 2012

One of my poems.....



Agar mohabbat hai teri nadiya to dil hamara bhi samandar hai…..
Agar mohabbat hai teri nadiya to dil hamara bhi samandar hai…..
Kisi na kisi sahil pe mulakat to hogi…..       (sahil-  kinara, jaha samandar aur nadi milte ho)

Aaj meri khamoshiya shayad keh na paye tumse kuchh…..
Aaj meri khamoshiya shayad keh na paye tumse kuchh…..
Lekin ek din in nigaho se baat to hogi……….

Agar milna mumkin na hua is jahan me to kya…..
Agar milna mumkin na hua is jahan me to kya…..
Is duniya ke paar koi aur kaynat to hogi….          (kaynat:- nature)

Naam chahe hotho pe  tum na lana mera lekin ……
Naam chahe hotho pe  tum na lana mera lekin……
jab bhi nikloge roshni me hamari parchhai saath to hogi……